Shayari
zaruri to nahin ik fasl-e-gul ho
junun ke aur bhi mausam bahut hain
aah to ab bhi dil se uThti hai
lekin us mein asar nahin hotaa
آہ تو اب بھی دل سے اٹھتی ہے
لیکن اس میں اثر نہیں ہوتا
आह तो अब भी दिल से उठती है
लेकिन उस में असर नहीं होता

zaruri to nahin ik fasl-e-gul ho
junun ke aur bhi mausam bahut hain
har soch mein sangin fazaaon kaa fasaana
har fikr mein shaamil huaa tahrir kaa maatam
parvaaz mein thaa amn kaa maasum parinda
sunte hain ki be-chaara shajar tak nahin pahunchaa
ek nazar mein us ne har ik dil ko jiit liyaa
ek nazar mein us ke ho gae jaane kitne log
main ki tere dhyaan mein gum thaa
duniyaa mujh ko DhunDh rahi thi
muddat se mohabbat ke safar mein huun 'karaamat'
lekin abhi chaahat ke nagar tak nahin pahunchaa
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
gulon se nahin shaakh ke dil se puchho
ki ye bad-numaa khaar kitnaa hasin hai
badle hue se lagte hain ab mausamon ke rang
paDtaa hai aasmaan kaa saayaa zamin par
aane vaali hai kyaa balaa sar par
aaj phir dil mein dard hai kam kam
gham natija hai khushi ki intihaa kaa ai 'kalim'
dil ki ik ik mauj mauj-e-shaadmaani ho to kyaa