Shayari
ab miri tanhaai bhi mujh se baghaavat kar gai
kal yahaan jo kuchh huaa thaa sab fasaanaa ho gayaa
rang khushbu aur mausam kaa bahaanaa ho gayaa
apni hi tasvir mein chehra puraanaa ho gayaa
رنگ خوشبو اور موسم کا بہانا ہو گیا
اپنی ہی تصویر میں چہرہ پرانا ہو گیا
रंग ख़ुश्बू और मौसम का बहाना हो गया
अपनी ही तस्वीर में चेहरा पुराना हो गया

kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
vo kuchh muskuraanaa vo kuchh jheinp jaanaa
javaani adaaein sikhaati hain kyaa kyaa
jaane kitne Dubne vaale saahil par bhi Duub gae
pyaare! tufaanon mein rah kar itnaa bhi ghabraanaa kyaa
jangalon mein kahin kho jaanaa hai
jaanvar phir mujhe ho jaanaa hai
bhuul jaanaa thaa jise sabt hai dil par mere
yaad rakhnaa thaa jise us ko bhulaa baiThaa huun