Shayari
ne gul ko hai sabaat na ham ko hai e'tibaar
kis baat par chaman havas-e-rang-o-bu karein
naala fariyaad aah aur zaari
aap se ho sakaa so kar dekhaa
نالہ فریاد آہ اور زاری
آپ سے ہو سکا سو کر دیکھا
नाला फ़रियाद आह और ज़ारी
आप से हो सका सो कर देखा

ne gul ko hai sabaat na ham ko hai e'tibaar
kis baat par chaman havas-e-rang-o-bu karein
tujhi ko jo yaan jalva-farmaa na dekhaa
baraabar hai duniyaa ko dekhaa na dekhaa
baagh-e-jahaan ke gul hain yaa khaar hain to ham hain
gar yaar hain to ham hain aghyaar hain to ham hain
aankhein bhi haae nazaa mein apni badal gaiin
sach hai ki bekasi mein koi aashnaa nahin
yak-ba-yak naam le uThaa meraa
ji mein kyaa us ke aa gayaa hogaa
saaqi mire bhi dil ki taraf Tuk nigaah kar
lab-tishna teri bazm mein ye jaam rah gayaa
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
ajnabi mujh se aa gale mil le
aaj ik dost yaad aae mujhe
dil to lete ho magar ye bhi rahe yaad tumhein
jo hamaaraa na huaa kab vo tumhaaraa hogaa
bahut hi kam ko mili hain mohabbatein 'jaanif'
ziyaada-tar ko to mahbub ne du'aa di hai
hamein islaam se itnaa ta'alluq hai abhi baaqi
buton se jab bigaDti hai khudaa ko yaad karte hain
abhi sahifa-e-jaan par raqam bhi kyaa hogaa
abhi to yaad bhi be-saakhta nahin aai