Shayari
ai dost tujh ko rahm na aae to kyaa karun
dushman bhi mere haal pe ab aab-dida hai
barsaat kaa mazaa tire gesu dikhaa gae
aks aasmaan par jo paDaa abr chhaa gae
برسات کا مزا ترے گیسو دکھا گئے
عکس آسمان پر جو پڑا ابر چھا گئے
बरसात का मज़ा तिरे गेसू दिखा गए
अक्स आसमान पर जो पड़ा अब्र छा गए

ai dost tujh ko rahm na aae to kyaa karun
dushman bhi mere haal pe ab aab-dida hai
apni zabaan se mujhe jo chaahe kah lein aap
baDh baDh ke bolnaa nahin achchhaa raqib kaa
jab kahte hain ham karte ho kyuun vaada-khilaafi
farmaate hain hans kar ye nai baat nahin hai
us ne phir kar bhi na dekhaa main use dekhaa kiyaa
de diyaa dil raah chalte ko ye main ne kyaa kiyaa
mal rahe hain vo apne ghar mehndi
ham yahaan eDiyaan ragaDte hain
vahi shaagird phir ho jaate hain ustaad ai 'jauhar'
jo apne jaan-o-dil se khidmat-e-ustaad karte hain
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
dekhtaa hai kaun 'baabar' kis kaa kyaa kirdaar hai
jis se jo mansub qissa ho gayaa to ho gayaa
main subh khvaab se jaagaa to ye khayaal aayaa
jo raat mere baraabar thaa kyaa huaa us kaa
baarish hui to ghar ke dariche se lag ke ham
chup-chaap sogvaar tumhein sochte rahe
jis baadal ne sukh barsaayaa jis chhaanv mein priit mili
aankhein khol ke dekhaa to vo sab mausam lamhaati the
dil mein soe saare dard jagaataa hai
bin mausam ki baarish aisaa nauha hai