Shayari
zulm kartaa huun zulm sahtaa huun
main kabhi chain se rahaa hi nahin
F
Faizimain subh khvaab se jaagaa to ye khayaal aayaa
jo raat mere baraabar thaa kyaa huaa us kaa
میں صبح خواب سے جاگا تو یہ خیال آیا
جو رات میرے برابر تھا کیا ہوا اس کا
मैं सुब्ह ख़्वाब से जागा तो ये ख़याल आया
जो रात मेरे बराबर था क्या हुआ उस का
zulm kartaa huun zulm sahtaa huun
main kabhi chain se rahaa hi nahin
paD gayaa hai khudaa se kaam mujhe
aur khudaa kaa koi pata hi nahin
sochtaa kyaa huun tire baare mein chalte chalte
tu zaraa puchhnaa ye baat Thahar kar mujh se
kise DhunDtaa huun main apne qurb-o-javaar mein
ai firaaq-e-sohbat-e-dostaan mujhe kyaa huaa
jaane main kaun thaa logon se bhari duniyaa mein
meri tanhaai ne shishe mein utaaraa hai mujhe
achchhaa hai tu ne in dinon dekhaa nahin mujhe
duniyaa ne tere kaam kaa chhoDaa nahin mujhe
aisi duniyaa mein kab tak guzaaraa karein tum hi kah do ki kaise gavaaraa karein
raat mujh se miri bebasi ne kahaa bebasi ke liye ek taaza ghazal
charaagh ki thartharaati lau mein har os qatre mein har kiran mein
tumhaari aankhein kahaan nahin thiin tumhaaraa chehra kahaan nahin thaa
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
taDap taDap ke tamannaa mein karvaTein badlin
na paayaa dil ne hamaare qaraar saari raat
kis pe khulte hain raat ke asraar
kaun yaan shab-guzaar hai aisaa