Shayari
aankhein sahar talak miri dar se lagi rahin
kyaa puchhte ho haal shab-e-intizaar kaa
L
Lala Tika Ramgo dil mein khafaa hai tu par is baat ko naadaan
kah baiThiyo mat aashiq-e-dil-gir ke munh par
گو دل میں خفا ہے تو پر اس بات کو ناداں
کہہ بیٹھیو مت عاشق دلگیر کے منہ پر
गो दिल में ख़फ़ा है तू पर इस बात को नादाँ
कह बैठियो मत आशिक़-ए-दिल-गीर के मुँह पर
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
unhein apne dil ki khabrein mire dil se mil rahi hain
main jo un se ruuTh jaaun to payaam tak na pahunche
shama bujh kar rah gai parvaana jal kar rah gayaa
yaadgaar-e-husn-o-ishq ik daagh dil par rah gayaa
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
havaa shaakhon mein rukne aur ulajhne ko hai is lamhe
guzarte baadalon mein chaand haail hone vaalaa hai
chaand ne taan li hai chaadar-e-abr
ab vo kapDe badal rahi hogi