Shayari
mauquf hai kyuun hashr pe insaaf hamaaraa
qissa jo yahaan kaa hai to phir tai bhi yahin ho
dil aur shama donon baraabar hain sokhta
uThtaa hai kis jagah se dhuaan dekhte raho
دل اور شمع دونوں برابر ہیں سوختہ
اٹھتا ہے کس جگہ سے دھواں دیکھتے رہو
दिल और शम्अ दोनों बराबर हैं सोख़्ता
उठता है किस जगह से धुआँ देखते रहो

main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
chaand ne taan li hai chaadar-e-abr
ab vo kapDe badal rahi hogi
havaa shaakhon mein rukne aur ulajhne ko hai is lamhe
guzarte baadalon mein chaand haail hone vaalaa hai
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
phir mujhe dida-e-tar yaad aayaa
dil jigar tishna-e-fariyaad aayaa
dil miraa zulf seti chhuT phansaa abru mein
kufr kuun tark kiyaa maail-e-mehraab huaa