Shayari
ik makaan aur bulandi pe banaane na diyaa
ham ko parvaaz kaa mauqaa hi havaa ne na diyaa
ye ashk tere mire raaegaan na jaaeinge
unhin charaaghon se raushan mohabbatein hongi
یہ اشک تیرے مرے رائیگاں نہ جائیں گے
انہیں چراغوں سے روشن محبتیں ہوں گی
ये अश्क तेरे मिरे राएगाँ न जाएँगे
उन्हीं चराग़ों से रौशन मोहब्बतें होंगी

ik makaan aur bulandi pe banaane na diyaa
ham ko parvaaz kaa mauqaa hi havaa ne na diyaa
aankh bhar aai kisi se jo mulaaqaat hui
khushk mausam thaa magar TuuT ke barsaat hui
aap hi ki hai adaalat aap hi munsif bhi hain
ye to kahiye aap ke aib-o-hunar dekhegaa kaun
baap bojh Dhotaa thaa kyaa jahez de paataa
is liye vo shahzaadi aaj tak kunvaari hai
kah do 'mir'-o-'ghaalib' se ham bhi sher kahte hain
vo sadi tumhaari thi ye sadi hamaari hai
unhin pe saare masaaib kaa bojh rakkhaa hai
jo tere shahr mein imaan le ke aae hain
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ham jurm-e-mohabbat ki sazaa paaeinge tanhaa
jo tujh se hui ho vo khataa saath liye jaa
sitaare is qadar dekhe ki aankhein bujh gaiin apni
mohabbat is qadar kar li mohabbat chhoD di ham ne
is dil mein chubhaa rahtaa thaa kaanTe ki tarah vo
ik roz use main ne mohabbat se nikaalaa
ai subh ki kiran mujhe pyaari hai tu bahut
tujh se lipaT paDungaa agar jaagtaa huaa