Shayari
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
maktab-e-ishq kaa dastur niraalaa dekhaa
us ko chhuTTi na mile jis ko sabaq yaad rahe
مکتب عشق کا دستور نرالا دیکھا
اس کو چھٹی نہ ملے جس کو سبق یاد رہے
मकतब-ए-इश्क़ का दस्तूर निराला देखा
उस को छुट्टी न मिले जिस को सबक़ याद रहे
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
tere shaidaa bhi hue ishq-e-tamaashaa bhi hue
tere divaane tire shahr mein rusvaa bhi hue
kyaa kahaa ishq jaavedaani hai!
aakhiri baar mil rahi ho kyaa
dil kaun hai ki us se kahein raaz-e-ishq ham
tere khayaal se bhi na ham guftugu karein
palaT paDaa jo main sar phoD kar mohabbat mein
to raasta isi divaar se nikal aayaa