Shayari
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
jis ko tum chaaho zaruri nahin vaapas chaahe
ye mohabbat hai newton kaa to qaanun nahin
جس کو تم چاہو ضروری نہیں واپس چاہے
یہ محبت ہے نیوٹن کا تو قانون نہیں
जिस को तुम चाहो ज़रूरी नहीं वापस चाहे
ये मोहब्बत है न्यूटन का तो क़ानून नहीं

sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
sach ishq mein hain aashiq o maashuq baraabar
jo mushkil-e-majnun hai so hai mushkil-e-lailaa
lailaa chali thi haj ke liye jazb-e-ishq se
naaqa machal ke najd ki manzil mein rah gayaa
Thahri thi ghizaa apni jo gham ishq-e-butaan mein
so aah hamaari hamein khuraak ne khaayaa
khaae so pachhtaae aur pachhtaae vo bhi jo na khaae
ye gham-e-ishq-e-butaan laDDu hai goyaa bor kaa