Shayari
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
chaand chal diyaa chup-chaap so gae sitaare bhi
raat ki siyaahi mein dil kaa daagh jaltaa hai
چاند چل دیا چپ چاپ سو گئے ستارے بھی
رات کی سیاہی میں دل کا داغ جلتا ہے
चाँद चल दिया चुप-चाप सो गए सितारे भी
रात की सियाही में दिल का दाग़ जलता है
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
na ho ehsaas to saaraa jahaan hai be-his-o-murda
gudaaz-e-dil ho to dukhti ragein milti hain patthar mein
barsaat kaa baadal to divaana hai kyaa jaane
kis raah se bachnaa hai kis chhat ko bhigonaa hai
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi