Shayari
na samjhe ashk-fishaani ko koi maayusi
hai dil mein aag agar aankh mein bhi paani hai
M
Mohammad Yaqoob Aamirmujhe bhi khud na thaa ehsaas apne hone kaa
tiri nigaah mein apnaa maqaam khone tak
مجھے بھی خود نہ تھا احساس اپنے ہونے کا
تری نگاہ میں اپنا مقام کھونے تک
मुझे भी ख़ुद न था एहसास अपने होने का
तिरी निगाह में अपना मक़ाम खोने तक
na samjhe ashk-fishaani ko koi maayusi
hai dil mein aag agar aankh mein bhi paani hai
main aaj kal ke tasavvur se shaad-kaam to huun
ye aur baat ki do pal ki zindagaani hai
baad-e-nafrat phir mohabbat ko zabaan darkaar hai
phir aziz-e-jaan vahi urdu zabaan hone lagi
dhire dhire sar mein aa kar bhar gayaa barson kaa shor
rafta rafta aarzu-e-dil dhuaan hone lagi
har nayaa rasta nikaltaa hai jo manzil ke liye
ham se kahtaa hai puraani rahguzar kuchh bhi nahin
sar ke niche iinT rakh kar umr bhar soyaa hai tu
aakhiri bistar bhi 'aamir' teraa farsh-e-khaak thaa