Shayari
na samjhe ashk-fishaani ko koi maayusi
hai dil mein aag agar aankh mein bhi paani hai
M
Mohammad Yaqoob Aamirbaad-e-nafrat phir mohabbat ko zabaan darkaar hai
phir aziz-e-jaan vahi urdu zabaan hone lagi
بعد نفرت پھر محبت کو زباں درکار ہے
پھر عزیز جاں وہی اردو زباں ہونے لگی
बाद-ए-नफ़रत फिर मोहब्बत को ज़बाँ दरकार है
फिर अज़ीज़-ए-जाँ वही उर्दू ज़बाँ होने लगी
na samjhe ashk-fishaani ko koi maayusi
hai dil mein aag agar aankh mein bhi paani hai
main aaj kal ke tasavvur se shaad-kaam to huun
ye aur baat ki do pal ki zindagaani hai
dhire dhire sar mein aa kar bhar gayaa barson kaa shor
rafta rafta aarzu-e-dil dhuaan hone lagi
har nayaa rasta nikaltaa hai jo manzil ke liye
ham se kahtaa hai puraani rahguzar kuchh bhi nahin
mujhe bhi khud na thaa ehsaas apne hone kaa
tiri nigaah mein apnaa maqaam khone tak
sar ke niche iinT rakh kar umr bhar soyaa hai tu
aakhiri bistar bhi 'aamir' teraa farsh-e-khaak thaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
thaa muqaddam ishq-e-but islaam par tifli mein bhi
yaa sanam kah kar paDhaa maktab mein bismillaah ko
ishq kuchh aap pe mauquf nahin khush rahiye
ek se ek zamaane mein tarahdaar bahut
rindaan-e-ishq chhuT gae mazhab ki qaid se
ghanTa rahaa gale mein na zunnaar rah gayaa
manzil-e-ishq ki hai rah hamvaar
na bulandi hai yaan na pasti hai