Shayari
khuub taazir-e-gunaah-e-ishq hai
naqd-e-jaan lenaa yahaan jurmaana hai
jhuTi baaton ki tajalli nazar aae aise
subh-e-kaazib ki safedi phire daalaanon mein
جھوٹی باتوں کی تجلی نظر آئے ایسے
صبح کاذب کی سفیدی پھرے دالانوں میں
झूटी बातों की तजल्ली नज़र आए ऐसे
सुब्ह-ए-काज़िब की सफ़ेदी फिरे दालानों में

khuub taazir-e-gunaah-e-ishq hai
naqd-e-jaan lenaa yahaan jurmaana hai
sunti hai roz naghma-e-zanjir-e-aashiqaan
vo zulf bhi hai silsila-e-ahl-e-chisht mein
jis roz main gintaa huun tire aane ki ghaDiyaan
suraj ko banaa deti hai sone ki ghaDi baat
haath milvaate ho tarsaae gilauri ke liye
kaf-e-afsos na mal jaae kahin paanv mein
jab kabhi maski kaTori kyaa sadaa paidaa hui
karti hai angiyaa ki chiDiyaa chahchahaane ki havas
ho gayaa maamur aalam jab kiyaa darbaar-e-aam
takhliya chaahaa to duniyaa saaf khaali ho gai
aankhon mein meri subh-e-qayaamat gai jhamak
siine se us pari ke jo parda ulaT gayaa
jama karti hai mujhe raat bahut mushkil se
subh ko ghar se nikalte hi bikharne ke liye
sahar ke saath chale raushni ke saath chale
tamaam umr kisi ajnabi ke saath chale
vafaa ki pyaar ki gham ki kahaaniyaan likh kar
sahar ke haath mein dil ki kitaab detaa huun
ai intizaar-e-subh-e-tamannaa ye kyaa huaa
aataa hai ab khayaal bhi teraa thakaa huaa
subh gar subh-e-qayaamat ho to kuchh parvaa nahin
hijr ki jab raat aisi be-qaraari mein kaTi