Shayari
baDe dilchasp vaade the baDe rangin dhoke the
gulon ki aarzu mein zindagi shole uThaa laai
vafaa ki pyaar ki gham ki kahaaniyaan likh kar
sahar ke haath mein dil ki kitaab detaa huun
وفا کی پیار کی غم کی کہانیاں لکھ کر
سحر کے ہاتھ میں دل کی کتاب دیتا ہوں
वफ़ा की प्यार की ग़म की कहानियाँ लिख कर
सहर के हाथ में दिल की किताब देता हूँ

baDe dilchasp vaade the baDe rangin dhoke the
gulon ki aarzu mein zindagi shole uThaa laai
pahchaan bhi saki na miri zindagi mujhe
itni ravaa-ravi mein kahin saamnaa huaa
zindagaani ke hasin shahr mein aa kar 'jaami'
zindagaani se kahin haath milaae bhi nahin
koi halchal hai na aahaT na sadaa hai koi
dil ki dahliz pe chup-chaap khaDaa hai koi
sahar ke saath chale raushni ke saath chale
tamaam umr kisi ajnabi ke saath chale
chamakte khvaab milte hain mahakte pyaar milte hain
tumhaare shahr mein kitne hasin aazaar milte hain
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
milne diyaa na us se hamein jis khayaal ne
sochaa to us khayaal se sadma bahut huaa
mujhe manzur gar tark-e-ta'alluq hai razaa teri
magar TuTegaa rishta dard kaa aahista aahista
aanaa zaraa tafrih rahegi
ik mahfil-e-sadmaat kareinge