Shayari
maut se aage tak ke manzar dekhe hain
tanhaai se yunhi Dar nahin jaataa main
utni der sameTun saare dukh tere
jitni der ai dost bikhar nahin jaataa main
اتنی دیر سمیٹوں سارے دکھ تیرے
جتنی دیر اے دوست بکھر نہیں جاتا میں
उतनी देर समेटूँ सारे दुख तेरे
जितनी देर ऐ दोस्त बिखर नहीं जाता मैं

jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
yaar bhi raah ki divaar samajhte hain mujhe
main samajhtaa thaa mire yaar samajhte hain mujhe
kar letaa huun band aankhein main divaar se lag kar
baiThe hai kisi se jo koi pyaar se lag kar
zamin se uTThi hai yaa charkh par se utri hai
ye aag ishq ki yaa-rab kidhar se utri hai
jiine vaale tire baghair ai dost
mar na jaate to aur kyaa karte
jafaa o jaur-e-musalsal vafaa o zabt-e-alam
vo ikhtiyaar tumhein hai ye ikhtiyaar mujhe