Shayari
is ko main inqalaab kahtaa huun
ye jo inkaar ki fazaa se uThaa
baat ye hai ki baat koi nahin
main akelaa huun saath koi nahin
بات یہ ہے کہ بات کوئی نہیں
میں اکیلا ہوں ساتھ کوئی نہیں
बात ये है कि बात कोई नहीं
मैं अकेला हूँ साथ कोई नहीं

is ko main inqalaab kahtaa huun
ye jo inkaar ki fazaa se uThaa
pas-e-parda bahut be-pardagi hai
bahut bezaar hai kirdaar apnaa
ye tamaashaa-e-ilm-o-hunar dosto
kuchh nahin hai faqat kaaghzi vahm hai
apni be-e'tidaaliyon ke sabab
main agar baDh gayaa huaa kam bhi
umr bhar rashk-e-adu saath thaa kahtaa kyaa haal
vo milaa bhi kabhi tanhaa to main tanhaa na huaa
kaun tanhaai kaa ehsaas dilaataa hai mujhe
ye bharaa shahr bhi tanhaa nazar aataa hai mujhe
jab dhuup sar pe thi to akelaa thaa mein 'obaid'
ab chhaanv aa gai hai to sab yaar aae hain
main apni maut se khalvat mein milnaa chaahtaa huun
so meri naav mein bas main huun naakhudaa nahin hai
mujh ko tanhaaiyon ne maaraa hai
bhiiD dekho mire janaaze ki
ai dost mohabbat ke sadme tanhaa hi uThaane paDte hain
rahbar to faqat is raste mein do gaam sahaaraa dete hain