Shayari
vo ek nazar mein mujhe pahchaan gayaa hai
jo biiti hai dil par mire sab jaan gayaa hai
kaun tanhaai kaa ehsaas dilaataa hai mujhe
ye bharaa shahr bhi tanhaa nazar aataa hai mujhe
کون تنہائی کا احساس دلاتا ہے مجھے
یہ بھرا شہر بھی تنہا نظر آتا ہے مجھے
कौन तन्हाई का एहसास दिलाता है मुझे
ये भरा शहर भी तन्हा नज़र आता है मुझे

gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
zindagi jin ki rifaaqat pe bahut naazaan thi
un se bichhDi to koi aankh mein aansu bhi nahin
chali samt-e-ghaib siin kyaa havaa ki chaman zuhur kaa jal gayaa
magar ek shaakh-e-nihaal-e-gham jise dil kaho so hari rahi
har raaste se manzil-e-hasti hai bahut duur
jaaegaa mire saath gham-e-yaar kahaan tak