Shayari
kaisi biptaa paal rakhi hai qurbat ki aur duuri ki
khushbu maar rahi hai mujh ko apni hi kasturi ki
visaal-e-yaar gar haraam hai to sun
haraam ko halaal kar visaal kar
وصال یار گر حرام ہے تو سن
حرام کو حلال کر وصال کر
विसाल-ए-यार गर हराम है तो सुन
हराम को हलाल कर विसाल कर

kaisi biptaa paal rakhi hai qurbat ki aur duuri ki
khushbu maar rahi hai mujh ko apni hi kasturi ki
ab ki sardi mein kahaan hai vo alaav siina
ab ki sardi mein mujhe khud ko jalaanaa hogaa
jaanne vaale maanne vaalon se afzal hai dhyaan rahe
majnun mat ban hosh mein rah aur phir laila kaa bhed samajh
vo ek laDki jo mar rahi hai hayaa ke maare
vo ek laDkaa jo dekhne par tulaa huaa hai
ham logon ko paani achchhaa lagtaa hai
ham logon ne miTTi pahni hui hai dost
main ik khvaab huun teraa dekhaa huaa huun
tu ik niind hai mujh mein soi paDi hai
bil-aakhir thak haar ke yaaro ham ne bhi taslim kiyaa
apni zaat se ishq hai sachchaa baaqi sab afsaane hain
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
kaabe ko jaataa kis liye hindostaan se main
kis but mein shahr-e-hind ke shaan-e-khudaa na thi
baat karnaa pyaar ki aasaan se aasaan hai
ishq karnaa karte rahnaa hai kaThin se bhi kaThin
yaad aai hai to phir TuuT ke yaad aai hai
koi guzri hui manzil koi bhuli hui dost
dekhe na mujhe kyunkar az-chashm-e-hiqaarat-u
vo sarv-e-javaan yaaro man-faakhta-e-piram