Shayari
maut aa jaae qaid mein sayyaad
aarzu ho agar rihaai ki
R
Rind Lakhnavikaabe ko jaataa kis liye hindostaan se main
kis but mein shahr-e-hind ke shaan-e-khudaa na thi
کعبے کو جاتا کس لیے ہندوستاں سے میں
کس بت میں شہر ہند کے شان خدا نہ تھی
काबे को जाता किस लिए हिन्दोस्ताँ से मैं
किस बुत में शहर-ए-हिन्द के शान-ए-ख़ुदा न थी
maut aa jaae qaid mein sayyaad
aarzu ho agar rihaai ki
ham jo kahte hain saraasar hai ghalat
sab bajaa aap jo farmaaiyegaa
kaafir huun na phunkun jo tire kaabe mein ai shaikh
naaqus baghal mein hai musallaa na samajhnaa
mai pilaa aisi ki saaqi na rahe hosh mujhe
ek saaghar se do aalam hon faraamosh mujhe
mai-kash huun vo ki puchhtaa huun uTh ke hashr mein
kyuun ji sharaab ki hain dukaanein yahaan kahin
agari kaa hai gumaan shak hai malaagiri kaa
rang laayaa hai dupaTTa tiraa mailaa ho kar
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
yaar bhi raah ki divaar samajhte hain mujhe
main samajhtaa thaa mire yaar samajhte hain mujhe
ye us kaa khel hai jis khel mein har baar vo yaaro
musalsal haar ke bhi mujh se aakhir jiit jaataa hai
ghar ghair ke jo yaar miraa raat se gayaa
ji siine se nikal gayaa dil haat se gayaa
kal raat main bahut hi alag saa lagaa mujhe
us ki nazar ne yuun miri surat khangaali dost
ab to har ek adaakaar se Dar lagtaa hai
mujh ko dushman se nahin yaar se Dar lagtaa hai