Shayari
dard ki lahr mein zindagi bah gai
umr yuun kaT gai hijr ki shaam mein
aakhiri baar aayaa thaa milne koi
hijr mujh ko milaa vasl ki shaam mein
آخری بار آیا تھا ملنے کوئی
ہجر مجھ کو ملا وصل کی شام میں
आख़िरी बार आया था मिलने कोई
हिज्र मुझ को मिला वस्ल की शाम में

vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
maarka garm to ho lene do khun-rezi kaa
pahle shamshir ke niche hamin jaa baiTheinge
ghazal mein jab talak ehsaas ki shiddat na ho shaamil
faqat alfaaz ki kaarigari mahsus hoti hai
yaad aati hai achchhi si koi baat sar-e-shaam
phir subh talak sochte rahte hain vo kyaa thi
koThe pe chehra-e-pur-nur dikhaayaa sar-e-shaam
yaar se rajat-e-khurshid kaa ejaaz huaa
munDeron par chhiDak de apne kushton kaa lahu ai gul
ugegaa sabza-e-shamsir divaar-e-gulistaan par