Shayari
saal, par saal, aur phir is saal
muntazir ham the muntazir ham hain
yaad aati hai achchhi si koi baat sar-e-shaam
phir subh talak sochte rahte hain vo kyaa thi
یاد آتی ہے اچھی سی کوئی بات سر شام
پھر صبح تلک سوچتے رہتے ہیں وہ کیا تھی
याद आती है अच्छी सी कोई बात सर-ए-शाम
फिर सुब्ह तलक सोचते रहते हैं वो क्या थी

saal, par saal, aur phir is saal
muntazir ham the muntazir ham hain
kabhi mai-kada kabhi but-kada kabhi kaaba to kabhi khaanqaah
ye tiri talab kaa junun thaa mujhe kab kisi se lagaav thaa
TaTolo parakh lo chalo aazmaa lo
khudaa ki qasam baa-khudaa aadmi huun
aa tire sang zaraa peing baDhaai jaae
zindagi baiTh tujhe chaae pilaai jaae
use na milne ki sochaa hai yuun sazaa deinge
har ek jism pe chehraa vahi lagaa deinge
koi aise vaqt mein ham se bichhDaa hai
shaam Dhale jab panchhi ghar lauT aate hain
jinhein ye fikr nahin sar rahe rahe na rahe
vo sach hi kahte hain jab bolne pe aate hain
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
miri baaton se ab aazurda na honaa saaqi
is ghaDi aql miri mujh se judaa phirti hai
'taabish' jo guzarti hi nahin shaam ki had se
sochein to vahin raat sahar-khez bahut hai
koi dariyaa ki taraf jaane ko tayyaar nahin
haath sab ke hain magar koi 'alam-daar nahin
vo aql-mand kabhi josh mein nahin aataa
gale to lagtaa hai aaghosh mein nahin aataa