Shayari
durgat bane hai chaae mein biscuit ki jis tarah
shaadi ke baa'd logo vahi meraa haal hai
din mein to kah rahi thi ki tum mere sher ho
aur us ke baa'd ullu banaayaa tamaam raat
دن میں تو کہہ رہی تھی کہ تم میرے شعر ہو
اور اس کے بعد الو بنایا تمام رات
दिन में तो कह रही थी कि तुम मेरे शेर हो
और उस के बा'द उल्लू बनाया तमाम रात

durgat bane hai chaae mein biscuit ki jis tarah
shaadi ke baa'd logo vahi meraa haal hai
khaa kar ye haal ho gayaa hotel ki roTiyaan
jaise ki haDDiyon pe manDhi meri khaal hai
us ne thaane mein rapaT kuchh aisi likhvaai ki bas
phir police ne ki miri aisi paziraai ki bas
bachchon se munh ko moD ke begam to so gaiin
su-su har ik ko main ne karaayaa tamaam raat
vo motiyon se daant vo lambe siyaah baal
naqli thaa saaraa maal pata chal gayaa mujhe
do chaar manzilon hi pe saansein ukhaD gaiin
ghuTnon pe hai zavaal pata chal gayaa mujhe
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
charaagh ki thartharaati lau mein har os qatre mein har kiran mein
tumhaari aankhein kahaan nahin thiin tumhaaraa chehra kahaan nahin thaa
har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
aisi duniyaa mein kab tak guzaaraa karein tum hi kah do ki kaise gavaaraa karein
raat mujh se miri bebasi ne kahaa bebasi ke liye ek taaza ghazal
aankhon mein shab utar gai khvaabon kaa silsila rahaa
main khud ko dekhtaa rahaa main khud ko sochtaa rahaa
khauf hai dhund bhari raat hai tanhaai hai
mere kamre mein abhi raat hai tanhaai hai