Shayari
durgat bane hai chaae mein biscuit ki jis tarah
shaadi ke baa'd logo vahi meraa haal hai
do chaar manzilon hi pe saansein ukhaD gaiin
ghuTnon pe hai zavaal pata chal gayaa mujhe
دو چار منزلوں ہی پہ سانسیں اکھڑ گئیں
گھٹنوں پہ ہے زوال پتہ چل گیا مجھے
दो चार मंज़िलों ही पे साँसें उखड़ गईं
घुटनों पे है ज़वाल पता चल गया मुझे

durgat bane hai chaae mein biscuit ki jis tarah
shaadi ke baa'd logo vahi meraa haal hai
khaa kar ye haal ho gayaa hotel ki roTiyaan
jaise ki haDDiyon pe manDhi meri khaal hai
us ne thaane mein rapaT kuchh aisi likhvaai ki bas
phir police ne ki miri aisi paziraai ki bas
bachchon se munh ko moD ke begam to so gaiin
su-su har ik ko main ne karaayaa tamaam raat
vo motiyon se daant vo lambe siyaah baal
naqli thaa saaraa maal pata chal gayaa mujhe
din mein to kah rahi thi ki tum mere sher ho
aur us ke baa'd ullu banaayaa tamaam raat
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
yuun to maujud apne ghar mein hai
aadmi mustaqil safar mein hai
meri taqdir mein manzil nahin hai
ghubaar-e-kaarvaan hai aur main huun
safar mein aise kai marhale bhi aate hain
har ek moD pe kuchh log chhuT jaate hain
miri tamannaa hai ab ke tum phir milo to ji bhar ke muskuraaein
ki dekhnaa hai ye raushni kaa safar bahut der baa'd jaa kar
us musaafir ki naqaahat kaa Thikaana kyaa hai
sang-e-manzil jise divaar nazar aane lage