Shayari
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
bhuul jaaun kis tarah qisse dil-e-nakhchir ke
hain nishaan baaqi abhi tak halqa-e-zanjir ke
بھول جاؤں کس طرح قصے دل نخچیر کے
ہیں نشاں باقی ابھی تک حلقۂ زنجیر کے
भूल जाऊँ किस तरह क़िस्से दिल-ए-नख़चीर के
हैं निशाँ बाक़ी अभी तक हल्क़ा-ए-ज़ंजीर के

sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
mohabbat mein ik aisaa vaqt bhi aataa hai insaan par
sitaaron ki chamak se choT lagti hai rag-e-jaan par
ye sharaab-e-ishq ai 'simaab' hai piine ki chiiz
tund bhi hai bad-maza bhi hai magar iksir hai
nashaat-e-husn ho josh-e-vafaa ho yaa gham-e-ishq
hamaare dil mein jo aae vo aarzu ho jaae