Shayari
dekhte rahte hain chhup-chhup ke muraqqaa teraa
kabhi aati hai havaa bhi to chhupaa lete hain
mohabbat mein ik aisaa vaqt bhi aataa hai insaan par
sitaaron ki chamak se choT lagti hai rag-e-jaan par
محبت میں اک ایسا وقت بھی آتا ہے انساں پر
ستاروں کی چمک سے چوٹ لگتی ہے رگ جاں پر
मोहब्बत में इक ऐसा वक़्त भी आता है इंसाँ पर
सितारों की चमक से चोट लगती है रग-ए-जाँ पर

dekhte rahte hain chhup-chhup ke muraqqaa teraa
kabhi aati hai havaa bhi to chhupaa lete hain
tujhe daanista mahfil mein jo dekhaa ho to mujrim huun
nazar aakhir nazar hai be-iraada uTh gai hogi
manzil mili muraad mili muddaaa milaa
sab kuchh mujhe milaa jo tiraa naqsh-e-paa milaa
khudaa aur naakhudaa mil kar Dubo dein ye to mumkin hai
meri vajh-e-tabaahi sirf tufaan ho nahin saktaa
dekhte hi dekhte duniyaa se main uTh jaaungaa
dekhti ki dekhti rah jaaegi duniyaa mujhe
chamak jugnu ki barq-e-be-amaan maalum hoti hai
qafas mein rah ke qadr-e-aashiyaan maalum hoti hai
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
nazar ke paar bhi sabza bichhaa hai
mohabbat duur tak phaili hui hai
baad-e-nafrat phir mohabbat ko zabaan darkaar hai
phir aziz-e-jaan vahi urdu zabaan hone lagi
dil-e-naakaam thak ke baiTh gayaa
jab nazar aai manzil-e-maqsud
kitni bhi pyaari ho har ik shai se ji uktaa jaataa hai
vaqt ke saath to chamkile zevar bhi kaale paD jaate hain