Shayari
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
kuchh yaad kar ke aankh se aansu nikal paDe
muddat ke baad guzre jo us ki gali se ham
کچھ یاد کر کے آنکھ سے آنسو نکل پڑے
مدت کے باد گزرے جو اس کی گلی سے ہم
कुछ याद कर के आँख से आँसू निकल पड़े
मुद्दत के बाद गुज़रे जो उस की गली से हम
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
vo karam ho ki sitam ek ta'alluq hai zarur
koi to dard-e-mohabbat kaa amiin hotaa hai
har shab-e-gham ki sahar ho ye zaruri hai magar
sab ki taabinda sahar ho ye zaruri to nahin