Shayari
sarhad-e-dasht se aabaadi ko jaane vaalo
shahar mein aur bhi khun-rez nazaare honge
har shab-e-gham ki sahar ho ye zaruri hai magar
sab ki taabinda sahar ho ye zaruri to nahin
ہر شب غم کی سحر ہو یہ ضروری ہے مگر
سب کی تابندہ سحر ہو یہ ضروری تو نہیں
हर शब-ए-ग़म की सहर हो ये ज़रूरी है मगर
सब की ताबिंदा सहर हो ये ज़रूरी तो नहीं

sarhad-e-dasht se aabaadi ko jaane vaalo
shahar mein aur bhi khun-rez nazaare honge
shab ki tanhaai mein ubhri hui aavaaz-e-jaras
subh-gaai kaa gajar ho ye zaruri to nahin
na main khasta-haal hotaa na ye ajnabi se lagte
ye hasin hasin farishte mujhe aadmi se lagte
safar ki aakhiri manzil mein paas aayaa hai
tamaam umr thaa jo duur aasmaan ki tarah
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
zaraa si baat thi arz-e-tamannaa par bigaD baiThe
vo meri umr bhar ki daastaan-e-dard kyaa sunte
khudaa ki den hai jis ko nasib ho jaae
har ek dil ko gham-e-jaavedaan nahin miltaa