Shayari
ehsaas mujh ko itnaa bhi ab to nahin 'navaab'
main ji rahaa huun aaj bhi ki mar gayaa huun main
N
Nawab Shahabadijaane kyuun dozakh se bad-tar ho gae haalaat aaj
rashk-e-jannat kal talak hindostaan meraa bhi thaa
جانے کیوں دوزخ سے بد تر ہو گئے حالات آج
رشک جنت کل تلک ہندوستاں میرا بھی تھا
जाने क्यूँ दोज़ख़ से बद-तर हो गए हालात आज
रश्क-ए-जन्नत कल तलक हिन्दोस्ताँ मेरा भी था
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
jo ghair the vo isi baat par hamaare hue
ki ham se dost bahut be-khabar hamaare hue
barseingi aaj rahmatein aamad hai yaar ki
naayaab hain ye ghaDiyaan tire intizaar ki
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi
yaar bhi raah ki divaar samajhte hain mujhe
main samajhtaa thaa mire yaar samajhte hain mujhe