Shayari
dekhne vaale tujhe dekhte honge lekin
dekhne vaalon ko hairat bhi to hoti hogi
mujh se ziyaada kaun tamaasha dekh sakegaa
gaandhi-ji ke tinon bandar mere andar
مجھ سے زیادہ کون تماشہ دیکھ سکے گا
گاندھی جی کے تینوں بندر میرے اندر
मुझ से ज़ियादा कौन तमाशा देख सकेगा
गाँधी-जी के तीनों बंदर मेरे अंदर

dekhne vaale tujhe dekhte honge lekin
dekhne vaalon ko hairat bhi to hoti hogi
paDhne vaalaa bhi to kartaa hai kisi se mansub
sabhi kirdaar kahaani ke nahin hote hain
ik nae gham se kinaaraa bhi to ho saktaa hai
ishq phir ham ko dobaaraa bhi to ho saktaa hai
hausle dard-bayaani ke nahin hote hain
ab yahaan lafz maaani ke nahin hote hain
rang darkaar the ham ko tiri khaamoshi ke
ek aavaaz ki tasvir banaani thi hamein
likhte likhte hi laDi aankh jo raani se miri
phir to raajaa ko nikalnaa thaa kahaani se miri
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
shama bujh kar rah gai parvaana jal kar rah gayaa
yaadgaar-e-husn-o-ishq ik daagh dil par rah gayaa
koi viraani si viraani hai
dasht ko dekh ke ghar yaad aayaa
yaad aai hai to phir TuuT ke yaad aai hai
koi guzri hui manzil koi bhuli hui dost
yuun barasti hain tasavvur mein puraani yaadein
jaise barsaat ki rim-jhim mein samaan hotaa hai
yaad rakhnaa bhi ik ibaadat hai
kyuun na ham un kaa haafiza ho jaaein