Shayari
tu agar abr hai main abr mein paani ki tarah
main tire saath huun lafzon mein maaani ki tarah
ik saaneha saa dafn huun lekin kabhi kabhi
sadiyon ki qabr se bhi uThaayaa gayaa huun main
اک سانحہ سا دفن ہوں لیکن کبھی کبھی
صدیوں کی قبر سے بھی اٹھایا گیا ہوں میں
इक सानेहा सा दफ़्न हूँ लेकिन कभी कभी
सदियों की क़ब्र से भी उठाया गया हूँ मैं

jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ik sadma-e-mohabbat ik sadma-e-judaai
ginti ke do hain lekin laakhon ki jaan par hain
ye saal tul-e-masaafat se chuur chuur gayaa
ye ek saal to guzraa hai ik sadi ki tarah