Shayari
zo'm kitnaa karte ho ik charaagh par apne
aur havaa ke chalne mein der kitni lagti hai
ye aarzu thi ki ham us ke saath saath chalein
magar vo shakhs to rasta badaltaa jaataa hai
یہ آرزو تھی کہ ہم اس کے ساتھ ساتھ چلیں
مگر وہ شخص تو رستہ بدلتا جاتا ہے
ये आरज़ू थी कि हम उस के साथ साथ चलें
मगर वो शख़्स तो रस्ता बदलता जाता है

zo'm kitnaa karte ho ik charaagh par apne
aur havaa ke chalne mein der kitni lagti hai
use laakh dil se pukaar lo use dekh lo
koi ek harf javaab mein nahin aaegaa
kisi harf mein kisi baab mein nahin aaegaa
tiraa zikr meri kitaab mein nahin aaegaa
main tanhaa laDki dayaar-e-shab mein jalaaun sach ke diye kahaan tak
siyaahkaaron ki saltanat mein main kis tarah aaftaab likkhun
titliyaan jugnu sabhi honge magar dekhegaa kaun
ham sajaa bhi lein agar divaar-o-dar dekhegaa kaun
band hoti kitaabon mein uDti hui titliyaan Daal diin
kis ki rasmon ki jalti hui aag mein laDkiyaan Daal diin
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
tu apne saath saath mein parda-nashin ko bhi
rusvaa karegaa ai dil-e-khaana-kharaab kyaa
ham-nashino kuchh na puchho haal-e-dil
ek shisha hai ki chaknaachur hai
nashtar tire alfaaz hain lagte hain ye dil par
gar qatl hi karnaa hai to ik vaar mein karnaa
apne hone se bhi inkaar kiye jaate hain
tere hone kaa yaqin khud ko dilaate hue ham