Shayari
mere naalon ki jo aavaaz pahunch jaati hai
ghar se baahar nikal aate hain pareshaan ho kar
milnaa kaisaa ki yaad bhi na kiyaa
mere naalon kaa kuchh asar na huaa
ملنا کیسا کہ یاد بھی نہ کیا
میرے نالوں کا کچھ اثر نہ ہوا
मिलना कैसा कि याद भी न किया
मेरे नालों का कुछ असर न हुआ

mere naalon ki jo aavaaz pahunch jaati hai
ghar se baahar nikal aate hain pareshaan ho kar
khudaaraa ik nigaah-e-naaz hi se dekh lo ham ko
garebaan phaaDne ko aaj ham tayyaar baiThe hain
aa jaaein vaqt-e-naza to main un ko dekh luun
armaan koi dil mein ab is ke sivaa nahin
junun-e-mohabbat ne ye din dikhaayaa
ki duniyaa mein rusvaa huaa chaahtaa huun
thi dard ki jab tak dil mein khaTak hiltaa thaa falak larzaan thi zamin
ham aahein jis dam bharte the ik mahshar barpaa hotaa thaa
parde mein vo to chhup gae dikhlaa ke ik jhalak
main pech-o-taab mein rahaa din bhar tamaam raat
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
be-barse guzar jaate hain umDe hue baadal
jaise unhein meraa hi pataa yaad nahin hai
lete hain tiraa naam hi yuun jaagte sote
jaise ki hamein apnaa khudaa yaad nahin hai
yaad aai na kabhi be-sar-o-saamaani mein
dekh kar ghar ko gharib-ul-vatani yaad aai
bhaag chalun yaadon ke zindaan se akasr sochaa lekin
jab bhi qasd kiyaa to dekhaa unchi hai divaar bahut