Shayari
zer-e-paa ab na zamin hai na falak hai sar par
sail-e-takhliq bhi girdaab kaa manzar niklaa
be-barse guzar jaate hain umDe hue baadal
jaise unhein meraa hi pataa yaad nahin hai
بے برسے گزر جاتے ہیں امڈے ہوئے بادل
جیسے انہیں میرا ہی پتا یاد نہیں ہے
बे-बरसे गुज़र जाते हैं उमडे हुए बादल
जैसे उन्हें मेरा ही पता याद नहीं है

zer-e-paa ab na zamin hai na falak hai sar par
sail-e-takhliq bhi girdaab kaa manzar niklaa
harf-e-inkaar hai kyuun naar-e-jahannam kaa halif
sirf iqraar pe kyuun baab-e-iram khultaa hai
maangne vaalon ko kyaa izzat o rusvaai se
dene vaalon ki amiri kaa bharam khultaa hai
jo sunnaa chaaho to bol uTTheinge andhere bhi
na sunnaa chaaho to dil ki sadaa sunaai na de
hazaaron saal safar kar ke phir vahin pahunche
bahut zamaana huaa thaa hamein zamin se chale
bichhDe hue khvaab aa ke pakaD lete hain daaman
har raasta parchhaaiyon ne rok liyaa hai
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
main us gulshan kaa bulbul huun bahaar aane nahin paati
ki sayyaad aan kar meraa gulistaan mol lete hain
vaaizon buniyaad-e-kaaba mein buton ki hastiyaan
ham musalmaan ho chuke aur tum musalmaan kar chuke
tabhi vahin mujhe us ki hansi sunaai paDi
main us ki yaad mein palkein bhigone vaalaa thaa
abr kaa saaya o sabza raah kaa
jaan-e-man rath ki savaari yaad hai
na yaad ki chubhan koi na koi lau malaal ki
main jaane kitni duur yunhi khud se be-khabar gayaa