Shayari
zer-e-paa ab na zamin hai na falak hai sar par
sail-e-takhliq bhi girdaab kaa manzar niklaa
lete hain tiraa naam hi yuun jaagte sote
jaise ki hamein apnaa khudaa yaad nahin hai
لیتے ہیں ترا نام ہی یوں جاگتے سوتے
جیسے کہ ہمیں اپنا خدا یاد نہیں ہے
लेते हैं तिरा नाम ही यूँ जागते सोते
जैसे कि हमें अपना ख़ुदा याद नहीं है

zer-e-paa ab na zamin hai na falak hai sar par
sail-e-takhliq bhi girdaab kaa manzar niklaa
harf-e-inkaar hai kyuun naar-e-jahannam kaa halif
sirf iqraar pe kyuun baab-e-iram khultaa hai
maangne vaalon ko kyaa izzat o rusvaai se
dene vaalon ki amiri kaa bharam khultaa hai
jo sunnaa chaaho to bol uTTheinge andhere bhi
na sunnaa chaaho to dil ki sadaa sunaai na de
hazaaron saal safar kar ke phir vahin pahunche
bahut zamaana huaa thaa hamein zamin se chale
bichhDe hue khvaab aa ke pakaD lete hain daaman
har raasta parchhaaiyon ne rok liyaa hai
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
hamin ne hashr uThaa rakkhaa hai bichhaDne par
vo jaan-e-jaan to pareshaan bhi ziyaada nahin
dilon pe dard kaa imkaan bhi ziyaada nahin
vo sabr hai abhi nuqsaan bhi ziyaada nahin
use to daulat-e-duniyaa bhi kam bhi paane ko
miri to zaat kaa mizaan bhi ziyaada nahin
tamaam ishq ki mohlat hai is aankhon mein
aur ek lamha-e-imkaan bhi ziyaada nahin
divaar-o-dar saa chaahiye divaar-o-dar mujhe
divaangi mein yaad nahin apnaa ghar mujhe