Shayari
idhar aate un ke qadam dekhte hain
sitam hai ki hai ye karam dekhte hain
alag baat hai ye ki tum sun na paae
magar ham ne tum ko pukaaraa bahut hai
الگ بات ہے یہ کہ تم سن نہ پائے
مگر ہم نے تم کو پکارا بہت ہے
अलग बात है ये कि तुम सुन न पाए
मगर हम ने तुम को पुकारा बहुत है

idhar aate un ke qadam dekhte hain
sitam hai ki hai ye karam dekhte hain
bahut milne se aib dikhte hain kam-kam
bahut dekhte hain jo kam dekhte hain
ham sahraa vaale hain badraa ye prem ki rim-jhim aur kahin
aanaa hai yahaan to aaiyo tu jam kar jham-jham karne ke liye
kiije izhaar-e-mohabbat chaahe jo anjaam ho
zindagi mein zindagi jaisaa koi to kaam ho
jo kahkashaan si nazar aati hain miri aankhein
guzishta shab ke ye aansu hain jo sitaare hue
dil ko honaa hai fanaa rahnaa hai qaaem aql ko
hasti-e-aadam kahaan jaae ye fitrat chhoD kar
dil ko tire firaaq ki aarzu yaad rah gai
din vo mohabbaton ke bhi misl-e-rah-e-safar gae
jaise an-dekhe ujaale ki koi divaar ho
band ho jaataa hai kuchh duuri pe har ik raastaa
main din ko shab se bhalaa kyuun alag karun saani
ye tirgi bhi to ik raushni kaa hissa hai
hayaat-e-khizr de yaarab mire tahammul ko
shab-e-firaaq agar mukhtasar nahin na sahi
hai muqaddar mein zulekhaa se judaai shaayad
khvaab mein misr ke baazaar nazar aate hain
udaasi ki tijaarat kar rahe hain
firaaq-e-yaar hai pesha hamaaraa