Shayari
aarzu hasrat tamanna muddaaa koi nahin
jab se tum ho mere dil mein dusraa koi nahin
donon aalam se vo begaana nazar aataa hai
jo tire ishq mein divaana nazar aataa hai
دونوں عالم سے وہ بیگانہ نظر آتا ہے
جو ترے عشق میں دیوانہ نظر آتا ہے
दोनों आलम से वो बेगाना नज़र आता है
जो तिरे इश्क़ में दीवाना नज़र आता है

sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi
jis qadar jazb-e-mohabbat kaa asar hotaa gayaa
ishq khud tark o talab se be-khabar hotaa gayaa