Shayari
ek patthar ki dast-e-yaar mein hai
phuul banne ke intizaar mein hai
ham sitaaron ki tarah Duub gae
din qayaamat ke intizaar mein hai
ہم ستاروں کی طرح ڈوب گئے
دن قیامت کے انتظار میں ہے
हम सितारों की तरह डूब गए
दिन क़यामत के इंतिज़ार में है

vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
barseingi aaj rahmatein aamad hai yaar ki
naayaab hain ye ghaDiyaan tire intizaar ki
ye na thi hamaari qismat ki visaal-e-yaar hotaa
agar aur jiite rahte yahi intizaar hotaa
hai khushi intizaar ki har dam
main ye kyuun puchhun kab mileinge aap
muddat hui palak se palak aashnaa nahin
kyaa is se ab ziyaada kare intizaar chashm