Shayari
ham sitaaron ki tarah Duub gae
din qayaamat ke intizaar mein hai
ek patthar ki dast-e-yaar mein hai
phuul banne ke intizaar mein hai
ایک پتھر کہ دست یار میں ہے
پھول بننے کے انتظار میں ہے
एक पत्थर कि दस्त-ए-यार में है
फूल बनने के इंतिज़ार में है

khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
yaar bhi raah ki divaar samajhte hain mujhe
main samajhtaa thaa mire yaar samajhte hain mujhe
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
barseingi aaj rahmatein aamad hai yaar ki
naayaab hain ye ghaDiyaan tire intizaar ki
miTe ye shubh to a dost tujh se baat karein
hamaari pahli mulaaqaat aakhiri to nahin
kuchh ghazlein un zulfon par hain kuchh ghazlein un aankhon par
jaane vaale dost ki ab ik yahi nishaani baaqi hai