Shayari
main aa kar dushmanon mein bas gayaa huun
yahaan hamdard hain do-chaar mere
shaam ne jab palkon pe aatish-daan liyaa
kuchh yaadon ne chuTki mein lobaan liyaa
شام نے جب پلکوں پہ آتش دان لیا
کچھ یادوں نے چٹکی میں لوبان لیا
शाम ने जब पलकों पे आतिश-दान लिया
कुछ यादों ने चुटकी में लोबान लिया

main aa kar dushmanon mein bas gayaa huun
yahaan hamdard hain do-chaar mere
ik mulaaqaat kaa jaadu ki utartaa hi nahin
tiri khushbu miri chaadar se nahin jaati hai
hamaare piir 'taqi-mir' ne kahaa thaa kabhi
miyaan ye 'aashiqi 'izzat bigaaD deti hai
aankh mein paani rakho honTon pe chingaari rakho
zinda rahnaa hai to tarkibein bahut saari rakho
ye zaruri hai ki aankhon kaa bharam qaaem rahe
niind rakkho yaa na rakkho khvaab meyaari rakho
botalein khol kar to pi barson
aaj dil khol kar bhi pi jaae
shama bujh kar rah gai parvaana jal kar rah gayaa
yaadgaar-e-husn-o-ishq ik daagh dil par rah gayaa
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
yaad aai hai to phir TuuT ke yaad aai hai
koi guzri hui manzil koi bhuli hui dost
koi viraani si viraani hai
dasht ko dekh ke ghar yaad aayaa
un ki yaad mein bahte aansu khushk agar ho jaaeinge
saat samundar apni khaali aaankhon mein bhar laaungaa
kaun suntaa hai bhikaari ki sadaaein is liye
kuchh zarifaana latife yaad kar lete hain ham