Shayari
sabza-zaaron ki sharaafat se na khelo qatan
tum havaa ho to khalaaon se lipaT kar dekho
baraae-naam hi sahi ba-ehtiyaat kijiye
darun-e-kizb-o-iftiraa sadaaqatein khalat-malat
برائے نام ہی سہی بہ احتیاط کیجئے
درون کذب و افترا صداقتیں خلط ملط
बराए-नाम ही सही ब-एहतियात कीजिए
दरून-ए-किज़्ब-ओ-इफ़्तिरा सदाक़तें ख़लत-मलत

sabza-zaaron ki sharaafat se na khelo qatan
tum havaa ho to khalaaon se lipaT kar dekho
kisi ko saayaa kisi ko gul-o-samar degaa
haraa-bharaa hai darakht-e-rivaaj rahne do
sharaafaton ke rang mein sharaartein khalat-malat
sar-mazaaq ho gaiin himaaqatein khalat-malat
aap ne achchhaa kiyaa tathir-e-khvaahish hi na ki
varna zamzam chashma-e-naapaak hotaa ghaaliban
khud ko mumtaaz banaane ki dili-khvaahish mein
dushman-e-jaan se mili meri anaa saazish mein
har ek shaakh thi larzaan fazaa mein chikh-o-pukaar
havaa ke haath mein ik aab-daar khanjar thaa
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
shaam-e-gham main ne jo puchhaa miraa gham-khvaar hai kaun
ik ghazal 'mir' ke divaan se baahar aai
kyon nahin dekhtaa hai vo muD kar
mar gaiin raah mein sadaaein kyaa