Shayari
ham apni zindagi to basar kar chuke 'rais'
ye kis ki ziist hai jo basar kar rahe hain ham
ham apne haal-e-pareshaan pe baarhaa roe
aur us ke baa'd hansi ham ko baarhaa aai
ہم اپنے حال پریشاں پہ بارہا روئے
اور اس کے بعد ہنسی ہم کو بارہا آئی
हम अपने हाल-ए-परेशाँ पे बारहा रोए
और उस के ब'अद हँसी हम को बारहा आई

ham apni zindagi to basar kar chuke 'rais'
ye kis ki ziist hai jo basar kar rahe hain ham
kis ne dekhe hain tiri ruuh ke riste hue zakhm
kaun utraa hai tire qalb ki gahraai mein
pahle ye shukr ki ham hadd-e-adab se na baDhe
ab ye shikva ki sharaafat ne kahin kaa na rakhaa
abhi se shikva-e-past-o-buland ham-safro
abhi to raah bahut saaf hai abhi kyaa hai
Tahni pe khamosh ik parinda
maazi ke ulaT rahaa hai daftar
khaamosh zindagi jo basar kar rahe hain ham
gahre samundaron mein safar kar rahe hain ham