Shayari
aadmi ki talaash mein hai khudaa
aadmi ko khudaa nahin miltaa
abhi se shikva-e-past-o-buland ham-safro
abhi to raah bahut saaf hai abhi kyaa hai
ابھی سے شکوۂ پست و بلند ہم سفرو
ابھی تو راہ بہت صاف ہے ابھی کیا ہے
अभी से शिकवा-ए-पस्त-ओ-बुलंद हम-सफ़रो
अभी तो राह बहुत साफ़ है अभी क्या है

aadmi ki talaash mein hai khudaa
aadmi ko khudaa nahin miltaa
apne ko talaash kar rahaa huun
apni hi talab se Dar rahaa huun
sirf taarikh ki raftaar badal jaaegi
nai taarikh ke vaaris yahi insaan honge
ham apne haal-e-pareshaan pe baarhaa roe
aur us ke baa'd hansi ham ko baarhaa aai
khaamosh zindagi jo basar kar rahe hain ham
gahre samundaron mein safar kar rahe hain ham
sadiyon tak ehtimaam-e-shab-e-hijr mein rahe
sadiyon se intizaar-e-sahar kar rahe hain ham
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
miri tamannaa hai ab ke tum phir milo to ji bhar ke muskuraaein
ki dekhnaa hai ye raushni kaa safar bahut der baa'd jaa kar
yuun to maujud apne ghar mein hai
aadmi mustaqil safar mein hai
safar mein aise kai marhale bhi aate hain
har ek moD pe kuchh log chhuT jaate hain
musaafiraan-e-rah-e-shauq sust-e-gaam ho kyuun
qadam baDhaae hue haan qadam baDhaae hue
vo khvaab hi sahi pesh-e-nazar to ab bhi hai
bichhaDne vaalaa sharik-e-safar to ab bhi hai