Shayari
bastiyon mein ham bhi rahte hain magar
jaise aavaara havaa sahraaon mein
ThanDi chaae ki pyaali pi ke
raat ki pyaas bujhaai hai
ٹھنڈی چائے کی پیالی پی کے
رات کی پیاس بجھائی ہے
ठंडी चाय की प्याली पी के
रात की प्यास बुझाई है

bastiyon mein ham bhi rahte hain magar
jaise aavaara havaa sahraaon mein
ham koi achchhe chor nahin par ek dafa to ham ne bhi
saaraa gahna luuT liyaa thaa aadhi raat ke mehmaan kaa
tez havaa ke saath chalaa hai zard musaafir mausam kaa
os ne daaman thaam liyaa to pal-do-pal ko rukaa bhi hai
mere aangan ki udaasi na gai
roz mehmaan bulaae main ne
meraa bhi ek baap thaa achchhaa saa ek baap
vo jis jagah pahunch ke maraa thaa vahin huun main
fasl tumhaari achchhi hogi jaao hamaare kahne se
apne gaanv ki har gori ko nai chunariyaa laa denaa
har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
aisi duniyaa mein kab tak guzaaraa karein tum hi kah do ki kaise gavaaraa karein
raat mujh se miri bebasi ne kahaa bebasi ke liye ek taaza ghazal
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
charaagh ki thartharaati lau mein har os qatre mein har kiran mein
tumhaari aankhein kahaan nahin thiin tumhaaraa chehra kahaan nahin thaa
andheri raat ki parchhaaiyon mein Duub gayaa
sahar ki khoj mein jo bhi ufuq ke paar gayaa
chaandni ke haath bhi jab ho gae shal raat ko
apne siine par sambhaalaa main ne bojhal raat ko