Shayari
khushaa ho kar butaan kab aashiqon ko yaad karte hain
'razaa' hairaan huun main kis baat par hai utnaa bholaa tu
kab alam aur hasratein apni kahein ai dostaan
raat ko bulbul hain ham aur din ko parvaane hain ham
کب الم اور حسرتیں اپنی کہیں اے دوستاں
رات کو بلبل ہیں ہم اور دن کو پروانے ہیں ہم
कब अलम और हसरतें अपनी कहें ऐ दोस्ताँ
रात को बुलबुल हैं हम और दिन को परवाने हैं हम

khushaa ho kar butaan kab aashiqon ko yaad karte hain
'razaa' hairaan huun main kis baat par hai utnaa bholaa tu
sunte to the 'razaa' hain sab hain baDe musalmaan
par kufr mein ziyaada nikle vo barahman se
dekhi thi ek raat tiri zulf khvaab mein
phir jab talak jiyaa main pareshaan hi rahaa
imaarat dair o masjid ki bani hai iinT o patthar se
dil-e-viraana ki kis chiiz se taamir hoti hai
kaabe mein shaikh mujh ko samjhe zalil lekin
sau shukr mai-kade mein hai e'tibaar apnaa
ik dam ke vaaste na kiyaa kyaa kyaa ai 'razaa'
dekhaa chhupaayaa toDaa banaayaa kahaa sunaa
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
fan jo meaar tak nahin pahunchaa
apne shahkaar tak nahin pahunchaa
taraf-e-kaaba na jaa haj ke liye naadaan hai
ghaur kar dekh ki hai khaana-e-dil maskan-e-dost
ai ishq jahaan hai yaar meraa
mujh ko bhi usi jagah tu le chal
sach bataa ishq mujhe sakht pareshaan huun main
kyuun khafaa hotaa nahin dost khataa par meri
mujh ko ye soch hai jiite hain ve kyun-kar yaa-rab
apne maashuqon se jo shakhs judaa rahte hain