Shayari
jab tumhaari aarzu baaqi nahin
dil dhaDaktaa hai na jaane ke liye
M
Mohammad Tanviruzzamansach bataa ishq mujhe sakht pareshaan huun main
kyuun khafaa hotaa nahin dost khataa par meri
سچ بتا عشق مجھے سخت پریشاں ہوں میں
کیوں خفا ہوتا نہیں دوست خطا پر میری
सच बता इश्क़ मुझे सख़्त परेशाँ हूँ मैं
क्यूँ ख़फ़ा होता नहीं दोस्त ख़ता पर मेरी
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
kiyaa mujh ishq ne zaalim kuun aab aahista aahista
ki aatish gul kuun karti hai gulaab aahista aahista
mujh se baatein karo mohabbat ki
taalib-e-'ilm huun main urdu kaa
ishq tu bhi zaraa Tikaa le kamar
dil bhi ab so gayaa hai raat gae