Shayari
tum ko chaahein bhi aur ghair ke saath bhi dekhein
tum kyaa jaano ishq ki kyaa kyaa laachaari hai
kaise kar luun yaqin main teraa
qasmon kaa kyaa hai saare khaate hain
کیسے کر لوں یقین میں تیرا
قسموں کا کیا ہے سارے کھاتے ہیں
कैसे कर लूँ यक़ीन मैं तेरा
क़समों का क्या है सारे खाते हैं

gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
uThaa hi laayaa sabhi raaste vo kaandhon par
yaqin us pe na kartaa to main kidhar jaataa
nahin nahin main bahut khush rahaa huun tere baghair
yaqin kar ki ye haalat abhi abhi hui hai
mujhe to lagtaa hai jaise ye kaaenaat tamaam
hai baazgasht yaqinan sadaa kisi ki nahin
khul gayaa ab ye ki vasl us kaa khayaal-e-khaam hai
aaj ummidon kaa dil hi dil mein qatl-e-aam hai
qadam uThaae hain ham ne bhi is yaqin ke saath
jahaan se guzreinge ham teri rahguzar hogi