Shayari
shahr ki bhiiD mein aankhein jise kho deti hain
dil ke aangan mein vahi shakhs khaDaa hotaa hai
qadam uThaae hain ham ne bhi is yaqin ke saath
jahaan se guzreinge ham teri rahguzar hogi
قدم اٹھائے ہیں ہم نے بھی اس یقین کے ساتھ
جہاں سے گزریں گے ہم تیری رہ گزر ہوگی
क़दम उठाए हैं हम ने भी इस यक़ीन के साथ
जहाँ से गुज़रेंगे हम तेरी रहगुज़र होगी

shahr ki bhiiD mein aankhein jise kho deti hain
dil ke aangan mein vahi shakhs khaDaa hotaa hai
na guftugu mein tasalli na khaamushi mein sadaa
suluk-e-dost kaa andaaz hi niraalaa hai
pyaar karne vaalon kaa sirf ek sahraa hai
saare shahr us ke hain saari bastiyaan us ki
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
uThaa hi laayaa sabhi raaste vo kaandhon par
yaqin us pe na kartaa to main kidhar jaataa
nahin nahin main bahut khush rahaa huun tere baghair
yaqin kar ki ye haalat abhi abhi hui hai
baDhne lagi yaqin o gumaan mein jo kashmakash
vaada bhi subh o shaam pe Taltaa chalaa gayaa
naa-umidi baDh gai hai is qadar
aarzu ki aarzu hone lagi
bahut se gham to diye 'zabt' aise logon ne
ki jin se koi tavaqqo na thi vafaa ke sivaa