Shayari
pata hotaa to na kartaa kabhi koi neki
tumhin jannat mein milogi mujhe maalum na thaa
vo tavajjoh de na de lekin sadaa dete raho
apne hone kaa use 'ruhi' pataa dete raho
وہ توجہ دے نہ دے لیکن صدا دیتے رہو
اپنے ہونے کا اسے روحیؔ پتا دیتے رہو
वो तवज्जोह दे न दे लेकिन सदा देते रहो
अपने होने का उसे 'रूही' पता देते रहो

pata hotaa to na kartaa kabhi koi neki
tumhin jannat mein milogi mujhe maalum na thaa
kahaa laDke ki ammi ne rahegi khush sadaa beTi
ki uupar se bhi laDke ki kamaai hoti rahti hai
sakht-jaani mein bhi niklogi misaali yaani
maar kar mujh ko marogi mujhe maalum na thaa
hamaari biivi aur mahngaai donon hain sagi bahnein
hamaari jeb ki aksar safaai hoti rahti hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ye saal tul-e-masaafat se chuur chuur gayaa
ye ek saal to guzraa hai ik sadi ki tarah
kisi ki yaad manaane mein iid guzregi
so shahr-e-dil mein bahut duur tak udaasi hai