Shayari
khairaat mein de aayaa huun jiiti hui baazi
duniyaa ye samajhti hai ki main haar gayaa huun
kisi ki yaad manaane mein iid guzregi
so shahr-e-dil mein bahut duur tak udaasi hai
کسی کی یاد منانے میں عید گزرے گی
سو شہر دل میں بہت دور تک اداسی ہے
किसी की याद मनाने में ईद गुज़रेगी
सो शहर-ए-दिल में बहुत दूर तक उदासी है

khairaat mein de aayaa huun jiiti hui baazi
duniyaa ye samajhti hai ki main haar gayaa huun
asaatiza ne miraa haath thaam rakkhaa hai
isi liye to main pahunchaa huun apni manzil par
aisi taraqqi par to ronaa bantaa hai
jis mein dahshat-gard corona bantaa hai
baazaar hain khaamosh to galiyon pe hai sakta
ab shahr mein tanhaai kaa Dar bol rahaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ye saal tul-e-masaafat se chuur chuur gayaa
ye ek saal to guzraa hai ik sadi ki tarah
aadat ke baa'd dard bhi dene lagaa mazaa
hans hans ke aah aah kiye jaa rahaa huun main
naaz kar naaz tire naaz pe hai naaz mujhe
meri tanhaai hai partav tiri yaktaai kaa